Saturday, 10 September 2016

Proportional Body and Advisable Height - Matnasib jism aur manasib Qad Urdu Hindi




Matnasib Jism aur Manasib Qad - Urdu/Hindi

chote qad ko har jaga aur har mahol main mazaq ka nishana bnana perta hai. Kisi bhi mard ya aurat ki tamam khubiyan, iss ki tamam salahiyatien aur husn Qad ki kami ka shikar ho ker khamiyon aur tazheek ka roop dhaar leti hain.

Kisi bhi larke ya larki ka qad 20 saal ki umar tak bila-jhijak barh sakta hai. Iss ke baad 24 saal ki umar tak qad barhne ki raftaar kafi sust ho jati hai. 25 saal ke baad ye kaam kafi mushkil aur phir na mumkin ho jata hai.

Bachpan se larakpan main qadam rakhte huwe agar aap ko apna ya shaadi ke baad apne bache ka qad ko-tah aur sust raftaari se barhta mahsoos ho to fori tor per iss ka ilaaj kerien. Yaad rakhien' qad barhne ke amal ko agar sahih waqt per shuru na kiya jaye to phir ye kabhi nahin barh sakta. Iss ka koi matbadil hal nahin hai.

Hamari khubsurati manasib qad ke saath saath jism ke tamam hisoon ki khubsurati ka majmuaa hai. Agar hum apne aap ko pur-kashish aur pur-aetmaad bnana chahte hain to phir gardan se nichlay hisoon ke tamam Aza ko makamal tor per sehat-mand aur pur-kashish bnana perhe ga.

Jism ki dekh bhaal ka maqsad hai ke apna jism matnasib aur khubsurat rakha jaye. awal to iss tarah aap apni jamaliyaati husn main azafa kerte hain aur doosre matnasib jism zayada ba salahiyat aur tawanayi se barpur hota hai.Hamare jism ke baaz hisse iss lehaaz se zayada aham hain ke umar ke saath in main kharabi peda ho jati hai aur umuman in hissoon ki warzish (Exercise) bhi nahin ki jati. Iss ke ilawa jism ke muhtalif hisse khubsurati ke masayil se do-char rehte hain. Per aap fikar na kerien iss website per hum aap ko batayien ge ke kis tarah baaz warzishoon (Exercises) aur Khubsurati ke nuskhoon se in masayil se chutakar paya jaye aur aap ka pura jism pur-kashish aur khubsurat nazar aaye ga.

Gardan ki haalat aur iss ki tanaas ka ahaata kiye baghair apni fiqar (Figure) aur chahre ki khubsurati ka andaaza/tajziyaa kerna na mumkin hai. Iss ki misaal beghair dandi ke gulab ke phool jaise hai. Achi jild ki manand haseen gardan bhi qudrat ka ek atiya hai. Amumann dekha gaya hai ke chehray ki khubsurati ka ek lazmi hissa hone ke bawajood gardan ki taraf iss ki khubsurati ke liye khaas matwajo nahin hote jis ke nateejay main woh jhuriyoon se bhar jati hai.

Gardan aur Aankhien woh aise aaza hain jo zara si be-parwahi se umar raseedgi ka shikaar ho jate hain. Iss ki bohut si wajuhaat hain aur in main se har ek ka azala kiya ja sakta hai beshartike aap gardan ki dekhbaal aur safayi ka ek marbut program bana ker iss per mustaqil mazaji se amal kerien. Ek baar jhuriyaan per jane ka baad iss ko asal shakal main lana bohut mushkil hai. Aankhon ki tarah gardan bhi alaaj se bohut sust raftaari se matasir hoti hai. Iss liye aap ko sabar ki zaroorat hai.

Gardan per jhuriyaan perne ki waja jild ka khushk hona aur nazam-e-hazm ka sust hona hai. Yeh baat zakhan nasheen rahe ke iss hissa main doraanay khoon (Blood Circulation) bohut kam hota hai. Jis ke baayis jild phiki par jati hai aur iss ka rang bigarh jata hai. Gardan ke liye jin baaton ki ahmiyat hai in main warzish (Exercise), masaaj (Massage) aur baqaidqi se gardan ki dekh bhaal ka program aur isse khaas andaaz se rakhna shamil hai.

Khubsurat complexion ke liye gardan ki jild ki dekh-baal ke program main ghusal (Bath) kerte waqt gardan ko kisi b saht cheeze se raghar ker saaf kerien. Iss tarah na sirf doranay khoon (Blood Circulation) tez ho ga balke gardan per jama huwa gardo-ghabaar bhi saaf ho jata hai. rozana subah shaam gardan ki safayi cleansing milk se kerien aur hafta main ek baar kisi saht cheeze (Hard Thing) se gardan aur thori (Chin) ko raghar ker iss ke murda hisoon (Dead Cells) ko saaf ker liya kerien.

INSHALLAH next post main hum aap ko 'Qad Barhane ka Tarika', 'Jism ko Khubsurat Banayien' aur Beauty Tips and Tricks batayien ge. so keep in touch and stay updated. check time to time for latest updates.




tags;
qad lamba kerien, khubsurat jism, gardan ko khubsurat banayien,
NEXT ARTICLE Next Post
This Is The Oldest Page
NEXT ARTICLE Next Post
This Is The Oldest Page
 

Delivered by FeedBurner