Matwazan Ghaza Qad Lamba kerne Main Zaroori Hai
Iss post main hum aap ko bataayien ge ke matwazan ghaza sehat-mand jism ke liye kyun zaroori hai aur iss matwazan ghaza main kiya kiya shamil hota hai jis ko janane ke baad aap ko zaroor faida poncha ga. Matwazan ghaza Qad lamba kerne main bohut zaroori hai kyun ke aksar logoon ka Qad matwazan ghaza main kami ke bais lamba nahin hota.Vitamins and Minerals
Vitamins aur madniyaat jism main bohut aehm kirdaar ada kerte hain. Maslann (Example) baez vitamins jism main khuraak ko hazm hone main madad kerte hain balke khuraak ko kimiyai tor par hal ker ke jism ko tawanai punchate hain aur azlaat ko na sirf harkat dene balke jism ke doosre afaal main madad dete hain. Matwazan ghaza istamaal na kerne ki waja se jism main bohut si madniyaat aur vitamins ki kami ho jati hai. Jis ki waja se jism ka nizaam kharaab hone lagta hai aur jism ko tawanai kam milti hai jis ke baais sehat kharaab hone lagti hai aur kamzoori ho jati hai.Konsi Matwazan Ghaza Zaroori Hai
Matwazan ghaza main hari sabziyaan (Green Vegetables) ki kuch miqdaar zaroor shamil ker leni chahiye kyun ke in subziyoon (Vegetables) ke istemaal se Aanton ke Cancer ka khatra tal jata hai. Aankhon ki bimariyaan dur ho jatien hain aur budhazmi ka imkaan bhi nahin rehta. Iss ke ilaawa kachi sabziyaan (Raw Vegetables) hamien hayateen mahiya kerti hain. Fiber bhi nehiyat aehm hai. Roti (Bread) main bhoosi ki miqdaar bharhaane se fiber hasil kiya ja sakta hai. Bhoosi darrasal (Actually) gandam ka resha hai.Saqeel ghaza ki soorat main yeh Aanton aur Nizaam Hazma se mataliq aaza aur ghadud ki safai main brush ka kaam deta hai. Ghaza ki tayari main iss baat ka khaas khayaal rakhien ke iss main fiber ki miqdaar mojood ho. Yeh aisa ghazai juzoo hai jo ghaza ke saath hazm nahin hota. Na juzoo badan banta hai aur na hi tawanai faraham kerta hai balke beghair kisi nuqsaan (side effect) ke ghaza ki miqdaar main azaafe ka sabab ban ker calories ki miqdaar kam ker deta hai. Fiber ke ilaawa tamam Vitamins, Minerals and Calcium ki manasib miqdaar behad zaroori hai aur manasib miqdaar ke liye manasib khuraak hasil kerna bohut zaroori hai. Quwat-e-Baksh ghaza ke zariye aap apne aap ko behtar aur sehat mand bana ker taweel mudat (For Long Time) tak Chaq-o-Choband (Smart and Active) reh sakte hain. Sehat mand (Healthy) reh ker apni jismaani khubsurati ko qaim rakhna koi mushkil nahin hai aur matwazan ghaza iss ka asaan nuskha hai.
To Dosto agar aap apne aap ko sehat mand aur apna qad bharkhane ka amal shuru kerne ja rahe hain ya shuru ker chuke hain to! matwazan ghaza ka khaas khayaal rakhien aur matwazan ghaza ko apni khuraak main shamil kerien.