Tuesday, 13 September 2016

Matwazan Ghaza Jism ke liye zaroori


Matwazan Ghaza Jism ke liye zaroori

Jism ki nashonama ke liye zaroori Ghaza

  • Sehat ALLAH TALLA ki naimat hai
  • Mahreen (Scientists) ke Matabiq Ghaza
  • Ghaza ki rozmara (Daily) zindagi main miqdaar
  • Matwazan Ghaza Bimaariyoon se bachati hai
  • Matwazan Ghaza main kiya kiya shamil hai
  • Bedal bedal ker Ghaza khani chahiye

Sehat ALLAH TALLA ki naimat hai


Jism ki barhhotri ki buniyaad ke liye matwazan ghaza ka hona bohut zaroori hai. Iss post main aap ko matwazan ghaza ke istamaal ki Ahmiyat ka bataayien ge jo ke Qad Lamba kerne ke liye bohut zarori hai.

Sehat (health) ALLAH-TALLAH ki ek bohut naimat hai. Jis ko barkaraar rakhna har insaan ka awaleen farz hai. Sehat mandi ka sab se pehla asool achi aur matwazan ghaza hoti hai. Ghaza ya Khuraak insaan ki zaroorat hai, Maghar iss ki manasib miqdaar ka taieen be had zaroori hai.

 Mahreen (Scientists) ke Matabiq Ghaza


Mahreen Sehat (Health Scientists) ke matabiq achi aur matwazan ghaza do alag alag cheezien hain. Humein aksar yeh maloom hi nahin hota ke jo ghaza ya khuraak hum kha rahe hain iss main kis qadar tawanai baksh ya muzr ajza mujood hain. Issi liye mahreen (Scientists) ne hamari rozana (Daily) ki khuraak ko chaar hisson main taqseem kiya hai. Hum roz mara (Daily) jo khuraak khate hain woh kisi na kisa surat main inhien chaar gharoopon (Groups) main se kisi ek ki rukan (Part) hoti hain. Hum in ishiya ka aapis main tawazan aap ko batate hain ta ke aap jaan sakien ke kitne hisay ya kitne feesad (Percentage) kiya ya kon se group ki ishiya humien roz-mara (Daily) ki khuraak mian khani chahiyein.

 Ghaza ki rozmara (Daily) zindagi main miqdaar


Anaaj aur Daalien , Daliya waghera 43% Feesad (Percentage)' Doodh (Milk) aur Dairy ki masnuaat 14% (Percentage)' Phal (Fruits) aur Sabziyaan (Vegetables) 3% (Percentage)' Protein per mushtamal ghazaien 16% (Percentage)' Yeh ghazai chart hamari khuraak ka ek matwazan aur huma pehlu taqseem hai.

 Matwazan Ghaza Bimaariyoon se bachati hai


Matwazan ghaza na sirf hamien jismaani tor per chaaq-o-choband rakhti hai balke mohlak bimaariyon se be mahfooz rakhti hain aur quwat-e-madafaat peda kerti hai. Jaise ke hum jante hain ke Mazhab Islam main tabi lehaaz se bohut beshumaar ahkamaat mojood hain jin main khane ki miqdaar ke baare main kaha gaya hai ke hamesha bhook se thora kam hi khana chahiye. Aaj Science bhi iss baat per khaas towajo de rahi hai ke jism ki tawanai ki had bandi zaroori hai Yaani jism ki lambayi aur wazan ke matabiq agar 300 Calories hamien chahiye to hum iss se kam hi lien. Pate bhar ker khana khane ke bajaye thori se gunjaish chor dena behtar hota hai.

 Matwazan Ghaza main kiya kiya shamil hai


Matwazan ghaza ke zaman main woh tamaam ghaza shaamil hai jis main ghazaiyat hai aur jo hamare jism ko zaroorat ke matabiq calories mahiya ker sake. Hamare jism ki manasib zaroorat muhtalif qisam ke haraare yani calories se puri hoti hai. Lahaaza humien apni roz-mara (Daily) ki ghaza main tamam iqsaam ke phal (Fruits)' Sabziyan (Vegetables)' Gosht (Meat) aur mahtalif (Different) Ajnaas shamil rakhna chahiye. Baaz gharon main sirf gosht (Meat) hi shoq se khaya jata hai jab ke baaz gharon main sabziyaan (Vegetables) kasrat se istamaal ki jati hain. jis ki waja se jism main Vitamins aur kimiyavi anasir ki kami waqiya ho jati hai aur sehat bhi zayada purkashish ya qabil rashk nahin rehti.

Dunia (World) main kafi feesad (Percent) log aise hain jin ki amumi sehat kharaab hone ki buniyaadi waja jism main Vitamins' Madniyaat' Calcium' aur deegar zaroori aur aeham anasir ki kami hoti hai magar wo ghaza ki sahih qadro qeemat aur iss ke ajzaaye tarkeebi se nawaqfiyat ki bina par aksar Doctors ke alaaj main pana talaash kerte hain. Jabke ke aksar Doctors Vitamins' Calcium' aur doosre zaroori anasir ki kami ko pura kerne ke liye Vitamins aur Calcium ki Goliyaan (Tablets) tajweez kerte hain. Halaanke matwazan ghaza main kharaab sehat ko sehat mand banane ke tamaam Vitamins qudarti tor per paaye jate hain Jinhien hum apni nawaqfiyat ki bina per nazar andaaz ker dete hain.

Bedal bedal ker Ghaza khani chahiye

Matwazan ghaza ke buniyaadi pehlu amuman nazar andaaz ho jate hain lahaza rozmara (Daily) ki ghaza hamesha badal badal ker khani chahiye. Gosht (Meat), Murghi (Chicken), Machli (Fish), Daalien (Beans), Sabziyaan (Vegetables) aur phal (Fruits) sab kuch hi apni ghaza main rakhna chahiye. Ek hi tarah ki ghaza humien bohut se masbat asraat (Faida punchane wale) se mahroom ker deti hai. Issi tarah bedal bedal ker ghaza khane se beshumaar faide hasil hote hain aur qudrat ki peda kerda tamam cheezien (Naimaton) ko apni rozmara (Daily) ki ghaza main hi rakhna matwazan khaza kehlata hai. Matwazan ghaza ki badolat per hi humien woh tamam Vitamins, Madniyaat (Calcium), Protien aur deegar zaroori aeham anasir hasil hote hain jo hamari jismaani sehat ke liye izhad (bohut) zaroori hote hain.

aap ka bohut bohut shukriya iss article ko perhne ka aur hum umeed kerte hain ke aap ko yeh article bohut pasand aaya ho ga. INSHALLAH next post main hum iss topic pe mazeed aur bataayien ge.

NEXT ARTICLE Next Post
PREVIOUS ARTICLE Previous Post
NEXT ARTICLE Next Post
PREVIOUS ARTICLE Previous Post
 

Delivered by FeedBurner