Monday, 12 September 2016

Gardan ki khubsurati ke liye chand nuskhay

 
Gardan ki khubsurati ke liye chand nuskhay

Gardan ki khubsurati ke liye chand nuskhay


Khubsurat complexion ke liye gardan ki jild ki dekh-baal ke program main ghusal (Bath) kerte waqt gardan ko kisi b saht cheeze se raghar ker saaf kerien. Iss tarah na sirf doranay khoon (Blood Circulation) tez ho ga balke gardan per jama huwa gardo-ghabaar bhi saaf ho jata hai. rozana subah shaam gardan ki safayi cleansing milk se kerien aur hafta main ek baar kisi saht cheeze (Hard Thing) se gardan aur thori (Chin) ko raghar ker iss ke murda hisoon (Dead Cells) ko saaf ker liya kerien.

Gardan ki khubsurati ke liye hum aap ko chand nuskhay bata rahe hain jin ke istamaal se aap ko bohut namaya farq mehsoos ho ga. App in nuskhoon ko istamaal ker ke bohut dilkash aur pur-Aetmaad nazar aayien ge. ye tamam nuskhay bana aur in ka istamaal bohut aasaan hai aap ye tamam nuskay ghar main bana sate hain aur aap ka zayada kharcha b nahin ho ga. ye tamam nuskhay bohut hi saste main ghar main ban jate hain.


Face Cleanser banane ka tareeqa

Khane ka ek chamach sandal ki lakri (Sandal Wood) ka barada (Grinded Powder), ek chamach multani matti aur kafi miqdar main dahi (Yoghurt) le ker teeno ka paste bana lien phir isse laga ker 10minute baad moo dho (face wash ker) lien. INSHALLAH do teen baar lagane se hi aap ko farq mehssoos ho ga.


Khushk Jild ke liye

Khushki utarne wali ya ratobat kho dene wali jild (skin) per kisi ache skin food ka massage kerien, jis main chand qatre lemon juice ke daal lien.

Skin Food Tyar kerne ka nuskha

Gardan ke liye acha skin food ghar per khud bana lien. iss maqsad ke liye Cold cream, Roghan Badaam (Almond Oil) aur Arqe Ghulab (Rose Water) barabar miqdaar main mila lien aur gardan per massage kerne ke liye dono khathoon (On Both Hands Fingers) ki ungliyoon per thori si cream lien aur gardan ka nichla hissa iss tarah pakrien ke angoothe samne ki simat hoon aur ungliyaan gardan ki pusht per rahien. Phir aahista se neeche se ooper ki simat massage kerien yahaan tak ke kaano (Ears) ki luoon tak ponch jayien.

Gardan ke liye tasting mask ya face polish

Gardan ke pheeke rang door kerne ke liye cleansing aur Tasting Mask ka istamaal kerien. Khane ka ek chamach 'jayi ka atta' le ker isse dahi (Yoghurt) ke saath mila lien aur phir iss main lemon ka arq shamil ker dien. Iss pack se gardan ka massage kerien aur isse nisf ganta tak laga rehne dien phir pani se dhone (wash) ke baad toliye (Towel) se daba ker khusk kerien aur Moistrizer lagayien. Jayi Ka Atta gardan ke murda hissoon (Dead Cells) ko saaf ker deta hai aur lemon ka Arq tezaab ko matwazan bana ker jild ko bleach kerta hai.


tags;
gardan ki khubsurati, gardan ki dekhbaal, homeremedies for nech hindi urdu, cleansing mask banane ka tareeqa, how to make cleansing mask at home in urdu hindi, nech polish at home in hindi,
NEXT ARTICLE Next Post
PREVIOUS ARTICLE Previous Post
NEXT ARTICLE Next Post
PREVIOUS ARTICLE Previous Post
 

Delivered by FeedBurner